Thursday, 4 April 2013

Wo aadat hai to aadat se



Wo aadat hai to aadat se kinara ho bhi sakta hai
Magar is saari koshish mein khasaara ho bhi sakta hai,
 
Rahein gey saath phir bhi hum,Muhabbat mar gayi kya gham
K masnooyi tanafas par guzara ho bhi sakta hai,
 
Agar aankhein na bhar aayein to dil muthi mein aaye ga
Hua hai haal jo mera tumhara ho bhi sakta hai,
 
Khuli aankhon mein thehra khawab kesey toot sakta hai
Gumaan ye zindagi bhar ka sahara ho bhi sakta hai,
 
Jo itni jagmgahat dekhtey ho aas paas apney
Ye meri aankh se toota sitaara ho bhi sakta hai,
 
Hamein hairat se mat dekho, Ab aisa kya kia hum ne
Zameeni ishq hai saahib, Dobara ho bhi sakta hai.

No comments:

Post a Comment