Saturday, 13 April 2013

Shaam k surmayi andheron mein

 
Shaam k surmayi andheron mein
Youn merey dil k daagh jaltey hain
Jaisey parbat k sabaz perron per
Baraf k baayd dhoop parti hai
Jaisey sehra ki rait urr urr kar
Ajnabi ka tawaf karti hai
Aah bharta hoon
Ashk peeta hoon
Roz marta hoon
Phir bhi jeeta hoon
Kitni masoom aarzoon ko
Kis tarha log tor jaatey hain
Jaisey dum tortey musafir ko
Qaafley waaley chhor jaatey hain
Shaam k surmayi andheron mein
Youn teri yaad saath chalti hai.

No comments:

Post a Comment