Safar e manzil e shab yaad nahi
Log rukhsat huey kab yaad nahi
Awaaleen qurb ki sarshari mein
Kitney armaan thay jawab yaad nahi
Dil mein har waqt chubhan rehti thi
Thi mujhey kis ki talab yaad nahi
Wo sitara thi k shabnam thi k phool
Ik soorat thi ajab yaad nahi
Kesi veeraan hai guzargaah e khayal
Jab se wo aariz o lab yaad nahi
Aisa uljha hoon gham e dunia mein
Ik bhi khawab e tarb yaad nahi
Bhooltey jaatey hain maazi k dayaar
Yaad aayein bhi sab to yaad nahi
Rishta e jaan tha kabhi jiska khayaal
Uski soorat bhi to ab yaad nahi
Ye haqeeqat hai k ehbaab ko hum
Yaad hi kab thay k ab yaad nahi
Yaad hai sair e charaaghan "Nasir"
Diye k bhujney ka sabab yaad nahi.
No comments:
Post a Comment