Friday, 5 April 2013

Mein ne dekha tha un dino mein ussay



Main ne dekha tha un dino main usse
Jab wo khiltay gulab jesa tha

Uski palkoon se neend chanti thi
Us ka lehja sharab jesa tha

Us ki zulfoon se bhegti thi ghatta
Us ka rukh mahtaab jesa tha
Log parhtay thay khal-o-khad us ke
Wo adab ki kitab jesa tha

Bolta tha zuban khushbu ki
Log suntay thay dharkanoun main usse

Main ne dekha tha un dino main usse !

Sari ankhien thein aainay uske
Saray chehroun main intekhab tha wo
Ye khawab hai ke wo haqeqat tha
Ye haqeqat hai ke koi khawab tha wo
Sab se ghul mil ker ajnabi rehna
Ek darya numa saraab tha wo
Apni neendien usi ki nazr hoi'en
Meine paya tha rat.jaghon mein usse

Main ne dekha tha un dino main usse !

Jab wo hans hans ke baat karta tha
Dil ke khemay mein raat karta tha
Rang parhtay thay anchalon main usse

Main ne dekha tha un dino main usse !

Ye magar dair ki kahani hai
Ye magar door ka fasana hai
Us ke mere milaap mein haail
Ab to sadiyon bhara zamana hai
Ab to yeh ke haal apna bhi
Dasht-e-hijran ki shaam jesa hai
Kia khabar in dino wo kesa hai ??

Main ne dekha tha un dino mein usse !

No comments:

Post a Comment