Aisi hi sard shaam thi wo bhi
Jab wo mehndi rachaye haathon mein
Apni aahat k khof se larzaan
Surkh aanchal mein munh chhupaye huey
Apney khat mujh se leney aayi thi
Uski sehmi hui nigaahon mein
Kitni khamosh iltijaaein thein
Us k chehrey ki zard rangat mein
Kitni majboorion k saaye thay
Merey haathon se khat pakartey hi
Jaaney kya soch kar achanak wo
Mera shaana pakar kar royi thi
Us k yaqoot rang honton k
Kapkapatey huey kinaron per
Sainkaron an kahey fasaney thay
Sard shaamon mein dair tak aksar
Jab ye manzar dikhayi deta hai
Ik lamha hinaayi haathon se
Mujh ko apni taraf bulaata hai
Humnasheen rooth kar na ja mujh se
Aisi hi sard shaam thi wo bhi.
No comments:
Post a Comment